!! Shree Durga Stuti
!!
Bhagwati Bhagwan Ki Bhakti
Karo Parvaan Tum
Ambe Kar Do Amar Jispe Ho
Jao Meharbaan Tum
Kali Kaal Ke Panje Se Tum
Hi Bachana Aan Kar
Gauri Godi Mein Bithana
Apna Balak Jaankar
Chintpurni Chinta Meri Dur
Tum Karti Raho
Lakshmi Lakhon Bhandare
Mere Tum Bharti Raho
Nainadevi Naino Ki Shakti
Ko Dena Tum Badha
Vaishno Maa Vishey
Vikaro Se Bhi Lena Tum Bacha
Mangala Mangal Sada Karna
Bhawan Darbar Mein
Chandika Chadhti Rahe Meri
Kala Sansar Mein
Bhadrakali Bhadra Purshon
Se Milana Tum Sada
Jwala Jalna Irsha Vash Yeh
Mitana Kar Kripa
Chamunda Tum Chaman Pe Apni
Daya Drishti Karo
Mata Maan Ijjat Ve Sukh
Sampati Se Bhandar Bharo